Monday 3 December 2012

Khafa Na Ho

Khafa Na Ho K Tera Husn Hi Kuch Aisa Tha
Main Tujh Se Pyar Na Karta Tou Aur Kya Karta ?

Izaaafi Lafz

kuch is tarah sy nazar andaaz ho gay
jesy azafi haraf thy teri zindgi ki kitaab main

Aey Mohabbat

Ay Mohbbat..
Teri Qismat.....kay Tujhay Muft Milay....

Hum Say Anmool....
Jo Heer'on Main....Tula Karte They

Din Museebat ke

Din Museebat Ke Tal Gaye Hotay
Apna Rasta Badal Gaye Hotay

Dil Ki Wehshat Ne Barh Ke Ghair Lya
Warna Aagay Nikal Gaye Hotay


Tere Gham Ne Qadam Ukhair Dye
Warna Kab Ke Sambhal Gaye Hotay

Tum Ne Loogon Ko Kiun Tawajja Di ?
Apne Hee Aap Jal Gaye Hotay

Tumhare hath me

Tumhare Hath Main Aksar Gulabi Ph00l Dekhe Hain,

Hamari Raah Main Lekin Bichana Bh00l Jatey H0,

Tumhein T0u L0ut Janey Ki Hamesha Fikar Rehti Hai,


Magar Jab L0ut Jatey H0 T0u Aana Bh00l Jatey H0,

Suna Hai Tum Hatheli Par Hamara Nam Likhtey H0,

Magar Jab Hum Se Miltey H0 Dikhana Bh00l Jatey H0...!

Udaas tha

Mujh se bichar k Mujh ko rula kar udas tha,
Meri tarah wo khud ko jala kar udas tha,

Aesay ajeeb dard k pehray thay chaar soo,
Ab k wo meray shehar may aaker udaas tha,

Mujh ko b uski yaad satati rahi bohat,
Wo b diyar-e-ghair may jaa kr udaas tha,

Aarzoo

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha..

Friday 17 August 2012

Kismat

Jo kismat mein ho woh zaroor milta hai husnain
Phir kyon log hathon ki lakeeron se gila karte hain.

Manzil

Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moajzey Se Kam Nahi ‘Faraz’
Raah-Guzar Pathar K Hain Aur Hum-Safar Seeshey Ka … !!!

Halaat

Ae Dil Tu Dharak Magar Itna To Zara Soch,,,,

Tere Jazbat Aur Hain,Mere Halaat Aur Hain...

Sapna

Sadiyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karogey Tum??
Bhool Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Nahi Kuch Or Tamana Ab,

Ke Bas Mere Hojao Tum,
Kabhi Na Chor K Jaogey,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Faqat Ik Lafz Sunney Ko,
Kaey Barson Se Tarsa Hun,
Mujhey Apna Bana Lo Tum,
Kaho Aisa Karogey Tum???

Fitrat

Insaan Ki Fitrat Ko Samajhty Hyn Tou sirf Parindey..

Jitna Bhi Mohabbat Se Bulao Magar Paas Nahi Aaty...

Main Ek Aansoo

Main Ek Aansuu Hi Sahi, Hoon Bohat Anmol Magar....

Yun Na Palkon Se Gira Ker Mujhe Mitti Main Mila...!

Baazi

Shamil hun tere khail main tareef ky liye

bazi to barri dair se hara hua hun main

Dil e Pur shoq ko

Dil-e pur shoq ko pehlu men dabaye rakha,
Tujhse bhi ham ne tera pyar chupaye rakha,

Chhor is bat ko ay dost ke tujhse pehle,
Hm ne kis kis ko khayalon men basaye rakha,


Ghair mumkin thi zamaney ke ghamon se fursat,
Phir bhi hm ne tera ghm dil men basaye rakha,

Phool ko phool na Kehte to usey kya kehte,
Kya huwa ghair ne kaalar men sajaye rakha,

Haye kya log they wo log pari chehra log,
Hmne jin ke liye dunya ko bhulaye rakha...!

Mohabbat

♥* Yeh Mohabbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai *♥*
*♥* Mill Jaen Toh Baatein Lambi Bicharr Jaen Toh Yaadein Lambi *♥*

Majbur

Jaane kyun akele rehne ko majbur ho gaye,
Yaado ke saaye bhi hamse door ho gaye,
Ho gaye tanha is mehfil mai ,
Ki hamare apne bhi hamse Door ho gaye…

Thursday 16 August 2012

Yaad

Meri yaadon ki kashti us samandar men tairti hai..,,

Jis men pani meri apni hi palkon ka hota hay.......!!!!!

Aansoo ?

Kia kaHa qaAsid tum nE zarA pHir sE tO kehNa..~

~wO ,, uN ki aAnkhaiN?? mEra zikEr?? Or aAnsOo??

Uljhay Huway Haalat ka

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar

khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar

So baar kaha itni mohabat nhi achi

So baar kaha itna bharosa na kia kar,

Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay

Ae dost mere...meri tamanna na kia kar,

Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana

Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar

Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak,

Tu mujh sy piyar had sy zayada na kiya kr""

Fitrat

Meri Fitrt Mein Nahi Apna Gham Byan Krna ,

Dost

Agar Tery WaJood Ka Hissa Hoon To Mehsoos Kr Takleef Meri..

Usay Kehna

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre to Usy Kehna,

Ek Pal Mere Ghar men Bhi Thehry Usy Kehna,

Kehna K Samandar K Kinary Pe Na Jaye,

Kuch Loog Samandar Se Bhi Hen Gehre Usy Kehna,

Zarkhez Zamenen kabhi Banjar Nahi Hoti,

Darya He Badal Lety Hen Rastay Usy Kehna

Kuch Loog Safar K Liye Hoty Nahi Mozon

Kuch Rasty Kat'ty Nahi tanha Usy Kehna

Is Shehar men Sach Keh K Guneh'gaar Na Hona,

K Basti K Sabi Loog Hen Behry Usy kehna"""

Anaa Ki jung

Koi Rothey Agar Tum Se Usey Foran Mana Lena,,,
Ana Ki Jung Main Akser Judai Jeet Jati Hai....

Parinda

Ye Dil to kisi or hi dais ka parinda hai ' Wasi '
Seene main to rehta hai magar bas main nahi rehta....!

Monday 13 August 2012

Ehsas


Ehsas Badal Jate Hain Bus or Kuch Nhi...!!
Warna Muhabbat or Nafrat Aik Hi Dil Se Hoti Hai.

Mosam e Hijar


Mosam_e_Hijar me ye Barish ka brasna kesa??
Eik sehra se samandar ka guzarna kesa??
Ae mere DiL na pareshan ho tanha ho kr,,,
Wo tere sath chala kab tha' Bicharna kesa??
Log kehte hain Gulshan ki tabahi' dekho,,,
Main to viraan sa jangal tha' Ujarna kesa??
Dekhne me to koi dard nahi' Dukh b nahi,,,
Phir ye Ankhon mein aansu ka ubharna kesa??
bewafa kehnay ke jurrat be na karna usko,,,
uss ne iqrar kia kab tha''mukarna'' kesa...

Sunday 12 August 2012

Tum Jao Hum se door


Tum jao Hum se door to Ekk Kaam kar jana"
"Kuch pal Apne Humare Naam kar jana"
"Agar Aajaye Mout Humain Tere Aanay se pehle"
"To Aa kar Mere Janaze ka Ehteram kar jana"
"Na Rona Isqadar k Takleef ho Humain"
"Mout ko b Mazak Samajh kar Anjaan ban jana"
"May Ekk Din So jaonga sada k liye"
"Phir Mujhe bewafa keh k Badnaam kar jana"
"Jo GuzrO Meri Qabar se to Nazrain na Phairna"
"Mehman he ban k Dua Salam kar jana......"

Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar


Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar,
Aay Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya Kar,
Dekhna Woh Ek Din Tujhe Chor Jaega,
Na Tu Usay Itna Sataya Kar,
Itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota,
Usay Har Ek Baat Na Bataya Kar,
Shiddaat-E-Gham Se Seena Phat Jaega,
Aankh Se Kuch Aansu to Bahaya Kar,
Us Jaisa Tujhe Kahin Mil Nahi Sakta,
Hazaar Baar Roothay Hazaar Baar Manaya Kar

Azaadi

Suno azadi ka mahina hai...,
Apni yadon sai azaad kardona...!!

Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar


Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar,
Aay Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya Kar,
Dekhna Woh Ek Din Tujhe Chor Jaega,
Na Tu Usay Itna Sataya Kar,
Itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota,
Usay Har Ek Baat Na Bataya Kar,
Shiddaat-E-Gham Se Seena Phat Jaega,
Aankh Se Kuch Aansu to Bahaya Kar,
Us Jaisa Tujhe Kahin Mil Nahi Sakta,
Hazaar Baar Roothay Hazaar Baar Manaya Kar.

Aey Meri Jan e Ghazal


Ae Meri Jan-E-Ghazal Q Teri chahat Na Kron?
Saans Ruk Jaye Agar TujhSe Mohabbat Na Kron
Tere Honton Pe Tabasum Ka Ye Halka Sa Khumar
Jesey Gulshan Me Dabey Paon Chali Aaye Bahar
Ab Jo Kantey Bhi Chubhen To Main Shikayt Na Kron
Saans Ruk Jaye Agar TujhSe Mohabbat Na Kron
Aa Gai Ha Tere Dar Pe Meri Tarsi Hoi Aas
Mere Honton Ko Mil Jaye Tere Honton Ki Mithaas
Zindagi Bhar Main Kbhi Shikwa-E-Qismat Na Kron
Sans Ruk Jaye Agar TujhSe Mohabaat Na kro

Raaz Rakhein Ge...


Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein ge,
Keh do aaj hr ik baat hum tera raaz rkhein ge,
Tum ko hum se chahat he ya nafrat kiya pta,
Kr do apne jazbat ka izhar hum tera raaz rkhein ge,
Mat smjna k tum ko ruswa krein ge zamane mein,
Qsam he hum ko teri hum tera raaz raaz rakhein ge.

Aansu Ki Tarah


Aansu ki tarah ankh se na chalak jao Tum,
Dua hai kbhi meri zindgi se na jao Tum,
Maut to berhaq hai ek roz aaegi,
Bus dar hai us se pehle na bichar jao tum...!!

Dil Nahi Raha

 Wö DIL nahi rahay wo JAZBE nahi rahay
APNE bhi is doar mai APNE nahi rahe
HALAT-E-ZINDGI par ghor kiya to jana
Rishte ZUBAN k reh gaye DIL k nahi rahe.

Main Jeet Ke Haara


"Main Jeet K Haara To Kis Mor Pe Aa K,
"Toota Tera Saharaa To Kis Mor Pe Aa K,
"Nishaan Tak Na Raha Meri Chahton Ka,
"Mujhe Taqdeer Ne Maaraa To Kis Mor Pe Aa K,
"Jb Na Rehi Dil Men Koi Piyaar Ki Hasrat,
"Mujhe Tum Ne Pukaaraa To Kis Mor Pe Aa K,
"Umar Bhar Doobte Rehe Hum Gham K Sumundar Men,
"Ab K Milaa Kinaraa To Kis Mor Pe Aa K
"Guzri Hay Umar Saari Yun Awaraa Gardi Men
"Tu Ne Zendagi Ko Sanwaraa To Kis Mor Pe Aa k"

Wednesday 1 August 2012

Saans Leta Hoon


Saaz_o_Aawaz Khad_0_khaal Men Aa jatay Hen,
Saans Leta Hon t0 Sur taal Men Aa jatay Hen,
Jang Aur ishQ Men Haaray Huway Logon ki trah,
HuM Ghanimat k kisi Maal Men Aa jatay Hen,
Zindgi khuwab Hy Aur khuwab ki Qeemat Lenay,
Jin k0 Ana Ho kisi Haal Ma Aa jatay Hen,
Tou B Saada Hy kbi Chaal Bdlta Hi Nhi,
HuM Bhe Danista teri Chaal Men Aa jatay Hen,
Shaam Dhaltay Hi kisi
Gosha_e_Veraani Men Chanda,
HuM Prindon ki trah jaal Me Aa jatay Hain

Friday 27 July 2012

Sari umar poojtay rahay


'Sari umar poojty rhy Log apny hath se bnaey huay pthar k khuda'on ko


"Iqbal"


Hum ne khuda k hath se bnaey huay ko chaha to gunahgar ho gaye !!

Najane kyun


"Najane kyun rait ki tarha nikal jaty hen hathon se wo log"
:::: Wasi ::::
"Jinko hum zindagi samajh kr kbi khona nahi chahty"

Wafa


Umar beet rahi he bus ik zara si baat ko samajhne me,,,


Ho jin se wabasta zindgi Wo log WafA kyun nahi krtey.

Hawa ke rukh pe


"Hawa k rukh pe jalta hai charagh_e_arzo ab tak....."


"Dil_e_barbaad mein ab bhi kisi ki yaad baqi hai..

Dard

Süñä thä därd kä Ehsäs to äpñö kö hötä häi
 * * ÐØ$T * *
 Jüb därd hi apñe däin tö ehsäs köñ käregä * ..!

Mohabbat

Jis Se Me Ne Mohabat Ki Wo Mohabat Thi Kisi Aur Ki,
Dharkan Mere Dil Ki
Aur Saansen Kisi Aur Ki,
Badal Gai Ye Dunya
Wo Dunya Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ik Sapna Tha Mera Haqiqat Thi Kisi Aur Ki,
Suno Mere Doston
Ye Faryad Mere Dil Ki,
Mein Ne Uski fikar Ki Mgr Usko Parwah Thi Kisi Aur Ki......!!!

Mohabbat

Jis Se Me Ne Mohabat Ki Wo Mohabat Thi Kisi Aur Ki,
Dharkan Mere Dil Ki
Aur Saansen Kisi Aur Ki,
Badal Gai Ye Dunya
Wo Dunya Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ik Sapna Tha Mera Haqiqat Thi Kisi Aur Ki,
Suno Mere Doston
Ye Faryad Mere Dil Ki,
Mein Ne Uski fikar Ki Mgr Usko Parwah Thi Kisi Aur Ki......!!!

Itnay zaalim na bano

Itnay zaalim na bano kuch to maravvat seekho
,,,,,,GHALIB,,,,,,

Tm pe marte hen to kya maar hi dalo ge kia.

Hans Ke Har Ranj


Hans Ke Her Ranj-O-Musibat Ko Saha Hai maine.!


Is Umeed Per Ke,Kal Aaj Se Behtar Hoga.!