Dil-e pur shoq ko pehlu men dabaye rakha,
Tujhse bhi ham ne tera pyar chupaye rakha,
Chhor is bat ko ay dost ke tujhse pehle,
Hm ne kis kis ko khayalon men basaye rakha,
Ghair mumkin thi zamaney ke ghamon se fursat,
Phir bhi hm ne tera ghm dil men basaye rakha,
Phool ko phool na Kehte to usey kya kehte,
Kya huwa ghair ne kaalar men sajaye rakha,
Haye kya log they wo log pari chehra log,
Hmne jin ke liye dunya ko bhulaye rakha...!

No comments:
Post a Comment