Monday 11 May 2015

Kitaabo ki Tarah

Kitabon ki tarha bohat Se Alfaz Hain

MuJh MaIn,,
.
AUr kitabon ki tarha Hi khamosh Rehta
Hoon Main..

Wednesday 6 May 2015

beti

Beautifull lines by sweet daughter....

Sham ho gai
ghumne chalo na papa ....!!

Chalte chalte thak gai
kandhe pe bitha lo na papa ....!!

Andhere se dar lagta hai
Seene se laga lo na papa ....!!

Mummy toh so gai
Aap hi thapki dekar sula do na papa ....!!

School toh puri hui
College jaane do na papa ....!!

College mei chhoti si galti ho gai
maaf kar do na papa ....!!

Chhoti si bhul ki itni badi saza
jab doli mein bitha hi diya to
aansu to mat bahao na
papa ....!!

Aapki muskurahat acchi hai
ek bar muskurao na papa ....!!

Aapne meri har baat maani
ek bat aur maan bhi jao na papa ....!!

Iss dharti pe bojh nahi hu mai
Duniya ko smjhao na papa ...

Tuesday 5 May 2015

woh mehendi wale hath

Woh mehendi wale hath dikha kar royi

Ab mai hoon kisi aur ki yeh bata kar royi

Pehle kehti thi ki nahi jee sakti tere bin

Aaj firse woh baat dohra kar royi

Kaise kar loon uski mohabbat pe shak yaaron

Woh bhari mehfil mein mujhe gale laga kar royi.

Monday 4 May 2015

Chupkay chupkay


Chupkay CHUPKAY JAL JATTE Hain log muhabbat kerne walay
Purwa sang nikal jatte hain log muhabbat kerne walay
Aankhon aankhon chal perte hain taaron ki qandeel liye
Chaand k saath hi dhal jatte hain log muhabbat kerne walay


Dil mein phool khilla dete hain log muhabbat kerne walay
Aag mein raag jaga dete hain log muhabbat kerne walay
Pani beech batasha surat kudh tu ghultay rehte hain
Nim ko shehad bana dete hain log muhabbat kerne walay


Khawab khushi k boo jatte hain log muhabbat kerne walay
Zakham dillon k dho jatte hain log muhabbat kerne walay
Titli Titli lehrate hain pholon ki umeed liye
Ek din khushbo ho jatte hain log muhabbat kerne walay


Ban jatte hain naqsh wafa ka log muhabbat kerne walay
Jhonka hain be_chain hawa ka log muhabbat kerne walay
Jalli hoi dherti pe jesse badal ghir ker aayin
Basti per hain Fazal KHUDA ka log muhabbat kerne walay

Wo likhte hain


Wo likhte hain hamara naam mitti mein,
Aur mita dete hain,
Unke liye to ye khel hoga magar,
Hamein to wo mitti mein mila dete hain… 

Palkon Tale Hum Ne Chupae Ansoo

Bighi Palkon Tale Hum Ne Chupae Ansoo,
Hasna Chaha Maghar Ankh Me Ae Ansoo,
Tum Ko Malum Shaed Ho K Na Ho,
Tere Jane Pe Bhohat Hum Ne Bahae Ansoo,
Pyar Ik Khel Kaha Tha Ke Tamasha Karte,
Hum Ne Yeh Soch Ke Khud Se Bhi Chupae Ansoo,
Jo Tere Sangh Bite The Vo Din Yaad Bhohat Ae,
Hum Ne Injame Muhabat Pe Bahae Ansoo,
Tu Sada Khush Rahe,
 Teri Ankh Me Kabhi Ek Bhi Na Ae Ansoo..

Shuruaat


Har Mod Pe Nayi Shuruaat Ho Sakti Hai,
Kabhi Bhi Kahin Bhi Baat Ho Sakti Hai,
Maana Ki Bahut Dur Hain Hum Aapse,
Par Aankhen Band Karo To Mulaakaat Ho Sakti Hai...!!!

Pyar aur Maut


Pyar aur Maut se Darta Kaun Hai…
Pyar to ho jata he Ise Krta Kaun Hai…..!! ♥
♥ Hum to Kar de Pyar me Jaan Bhi
Qurban…
Par Pata to Chale hmse Pyar Karta kaun hai…….!!

Aansu

Nikle Jab Aansu Uski Aankho Se, 
Dil Karta Hai Sari Duniya Jala Du, 
Phir Sochta Hu Honge Duniya Me Uske Bhi Apne, 
Kahin Anjane Me Use Aur Na Rula Du...!!!

Daur Zindagi Ka

Unko Yeh Lagta Hai Hum Unpe Marte Hain
Humko Yeh Lagta Hai Ke Woh Hum Pe Marte Hain
Daur Zindagi Ka Guzar Jayega Yoon Hi Humdum
Na Who Kuchh Poochhte Hain Humsey..
Na Hum Kuchh Keh Paate Hain…

Mohabbat

 Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon To kehna
Main muskurahat hoon Mujhe Hansa kar dakh
Na sajoon tare honton per to kehna
Main khushboo hoon mujhe Mehsoos karke dekh
Na mehkoon tari zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe Sun ker dekh
Na dhakoon Tere Dil main to kehna
Main phool hoon mujhey Laga ker dekh
Na mehkoon din raat To kehna
Main mohabbat hoon mujhe Apna karke dekh
Na banoo main teraa to kehna

December Aan Pohancha Ha

 
Abhi Hijr Ka Qayaam Hai Aur December Aan Pohancha Hai
Ye Khabr Shahar Mein Aam Hai December Aan Pahuncha Hai !

Aangan Mein Utar Aayi Hai Manoos Si Khushboo
Yadoun Ka Azdahaam Hai December Aan Pahuncha Hai !

Khamoshiyon Ka Raaj Hai, Khizaan Taak Mein Hai
Udasi Bhi Bahot Aam Hai December Aan Pahuncha Hai !

Tere Aanay Ki Ummeed Bhi Ho Chuki Ma’adoom
Naye Saal Ka Ehtamaam Hai December Aan Pahuncha Hai !

Khunak Rut Mein Udaasi Bhi Chaukhat Pe Kharri Hai
Jaarrey Ki Udaas Shaam Hai December Aan Pahuncha Hai

Tum Aao Tou Merey Mausamon Ki Bhi Takmeel Ho Jaye
Nayi Rut Tou Sar-e-Baam Hai December Aan Pahuncha Hai!

Sunday 3 May 2015

December Mujh Se Bolaa Tha

December Mujh Se Bolaa Tha
Ab Ke Jab Mai Aaon Ga
Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Ussey Mai Sath Laon Ga

Jo Tujh Ko Bhool Baitha Hay
Ke Jis Ke Hijr Ka Laawa
Tera Tan Man Jalata Hy
Ke Jis Ki Yaad Ki Jheelon Mein
Akser Doob Jatey Ho

Ke Jis Ke Waastey Baithey
Yaahan Tum Geet Gaatey Ho!

December Mujh Se Bolaa Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yaadein Us Ne Sonpi Hain
Jo Lamhay Us Ne Bakhshey Hain

Chaahe Ye Zakhm Saary
Rooh Ka Naasoor Ban Jaaen
Inhen Barhney Nahi Dena

Inhen Marney Nahi Dena !!

Wakalat



Koi Wakalat nahi chalti zamin walo ki,

jab koi faisla aasman se utarta hai !!

Bhooltay Hai

Tujhe dekhkar sari thakan bhulte hai.......
Maan ke sabhi parinde Udaan bhulte hai......


Tum aaye to ek samandar bhi thahra
Lahro ki jawani tufaan Bhulte hai.... 


Mohabaat ki iss hussi Dilkashi me 
Diwane to Aakhri anjaam bhulte hai......


Jahan me basa iss tarah akkash tera
Aaina dekhkar ab apna Naam bhulte hai.....

Shayari

Phul isiliye acche, ki khusbu ka paigam dete hai.
Kaaten isiliye acche, ki daaman tham lete hai.
Dost isiliye acche, ki wo mujh par jaan dete hai.
Aur
Dushman ko kaise kharab keh du,
wo hi to hai, jo har mehfil me mera naam lete hai.


======

 Itni lambi umar ki dua mat maang mere liye,

Aisa na ho ke tu b chod de or maut b na aaye...

======

Kiske Liye Jannat banayi hai tune ae Khuda

Kaun hai yaha jo gunhegar nahi....

======


December Nahin Ruka

Lambay Safar Ki Oat Mein Pal Bhar Nahin Ruka
Mein Waqt Ke Fareeb Mein Aa Kar Nahin Ruka

Phir Aa Gaya Aik Naya Saal Dosto !
Is Bar Bhi Kisi Say December Nahin Ruka

Lay Kar Kisi Ne Haath Mein Waqt Ka Kashkol 
Aisa Safar Kia Ke Kahin Per Nahin Ruka

Manzar Ke Aks Mein Koi Chehra Chatakh Gaya
Sheeshe Ke Pas Aa Kay Jo Pathar Nahin Ruka

Chalta Raha Adoo Ki Safain Rondta Howa !
Lakhon Ka Khoun-e-jigar KarKe Bhi Lashkar Nahin Ruka

Bas Yeh Howa Ke Aakhri Lamha Bhi Aa Gaya
Dil Ka Tawaf-e-Koocha-e-Dilbar Nahin Ruka!

December Ab Ke Aao

December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana
Ke Jis Mein Jugnuon Ki Kehkashaan Jhilmilaati Hai
Jahan Titlee Ke Rangoon Se Fizaain Muskarati Hain
Wahan Charon Taraf Khushboo Wafa Ki Hai

December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana
Jahan Par Rait Ke Zarray Sitaray Hain
Gul-o-Bulbul, Mah-o-Anjum Wafa Ke Ista’aray Hain
Jahan Dil Woh Samandar Hai
Jis Ke Kayi Kinaray Hain !!

December Hum Say Na Poocho
Hamaray Shehar Ki Baabat
Yahan Aankhon Mein Guzray Karwan Ki Gard Thehri Hai
Muhabbat Barf Jaisay Hai Yahan
Yahan Dil Ke Lahu Mein
Apni Palkon Ko Dabo Kr Hum
Sunehray Khawb Buntay Hain
Phir Unhi Khawbon Mein Jeetay Hain
Unhi Khawbon Pe Martay Hain
Dareeda Rooh Ko Lafzon Se Seena Gou Nahee Mumkin
Magar Phir Bhi…
December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana !!

Sab Ka Dard December Tha

Bas Ek Meri Baat Nahi Thi, Sab Ka Dard December Tha
Barf Ke Shehr Mien Rehne Wala Ek Ek Fard December Tha
Pichhle Saal Ke Aakhir Mien Bhi Hairat Mien Hum Teeno Thay
Ek Mien Tha, Ek Tanhyai Thi, Ek Be-dard December Tha
Apni Apni Himmat Thi, Aur Apni Apni Qismat Thi !
Hath Kisi Ke Neeley Thay, Aur Peela Zard Dember Tha
Phooloun Pe Tha Sakta Taari, Khushbu Sehmi Sehmi Thi
Khof-zda Tha Gulshan Sara, Dehshat-gard December Tha..

December Yaad Aata Hai

Hawa Ka Sard Jhonka Jab
Mujhy Chhoo Ke Guzarta Hai
Meri Sochoun Ke Darpan Men 
December Ki Chatakhti Dhoop...
Ek Chehra Banati Hai !!

Thithertey Sard Mausam Mein
Saba Jab Gungunati Hai
Hawa Seeti Bajati Hai
Tou Yun Lagta Hai..
College Ki Canteen Mein Bethi
Wo Phir Se Muskurati Ho
Meri Coffee Ki Piyaali Se
Dhuwein Ke Garam Badal Ne
Koi Surat Banai Ho…
Koi Khushbu Ki Surat Baat
Nihaan Thi Jo Mere Dil Mein
Meri Aankhoun Se Parrh Ker
Wo Zara Sa Muskurai Ho
Bas Ek Wo Khwaab Sa Lamha
December Ki Khunk Raatoun Mein
Aksar Yaad Aata Hai
Nahi Bhoola Jisey Ab Tak
Wo Manzar Yaad Aata Hai

December Yaad Aata Hai…..

Suno December !

Suno December !
Ussay Pukaaro!
Ussay Bulaaoo!
Suno December
Ussay Mila Do…
Ab Is Se Pehle Ke Saans Nikle
Ab Is Say Pehlay Ke Saal Guzre
Wohi Lakeerain Wohi Sitaara
Meri Lakeeroon Mein Qaid Kar Do
Ya Aakhri Shab Ke Aakhri Pal
Koi Bara Ikhtitaam Kar Do….!!
Yeh Zindagi Bhi Tamaam Kar Do

Suno December !!
Ussay Mila Do!

December



Kabhi jo toot ke barsa December
Laga apna, Bohat apna December
Guzar jata hai sara saal yun tou
Nahin kat’ta magar tanha December
Bhala barish say kia sairaab hoga
Tumharay wasl ka piyasa December
Woh kab bichrra? Nahi ab yaad lekin
Bus itna yaad hai ke tha December
Jama poonji yehi hai umar bhar ki
Meri tanhai aur Mera December!

Yaad Rakhna

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna 

Siyasat

Mohabbet Bhi To Ek Tarah Ki Siyasat Hi Hoti Hai
Jo Jeete To Baadshahi Our Haare Too Qaid-e-Tanhayi......

Andhero Ka Safar

Andhero Ka Safar

Tum Se Na Katt Sakay Ga Andheron Ka Ye Safar,
Ab Shaam Ho Rahi Hai Mera Saath Choor Do...!!! 

December Ki Chandni

Raat Uss Ne Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki....!
December Ki Chandni

Main Ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah Ke Baarey Mein
Guftagu Ke Kya Maani ?
Chahey Koi Manzir Ho
Dasht Ho , Sumnadar Ho
June Ho , December Ho
Dharkanoo'n Ka Har Naghma
Manzaroo'n Pe Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ik Sahara Ho
Aisa Lagta Hai, Jaise
Ik Nasha Sa Taari Hai

Lakin Uss Ki Qurbat Mein
Kuch Nahi Kaha Main Ne
Takti Reh Gayi Mujh Ko
Chandni December Ki ...!!

Musalmaan


منفعت ایک ہے اس قوم کی، نقصان بھی ایک
ایک ہی سب کا نبیﷺ، دین بھی، ایمان بھی ایک

حرم پاک بھی، اللہ بھی، قرآن بھی ایک
کچھ بڑی بات تھی ہوتے جو مسلمان بھی ایک