Sunday, 3 May 2015

December Ab Ke Aao

December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana
Ke Jis Mein Jugnuon Ki Kehkashaan Jhilmilaati Hai
Jahan Titlee Ke Rangoon Se Fizaain Muskarati Hain
Wahan Charon Taraf Khushboo Wafa Ki Hai

December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana
Jahan Par Rait Ke Zarray Sitaray Hain
Gul-o-Bulbul, Mah-o-Anjum Wafa Ke Ista’aray Hain
Jahan Dil Woh Samandar Hai
Jis Ke Kayi Kinaray Hain !!

December Hum Say Na Poocho
Hamaray Shehar Ki Baabat
Yahan Aankhon Mein Guzray Karwan Ki Gard Thehri Hai
Muhabbat Barf Jaisay Hai Yahan
Yahan Dil Ke Lahu Mein
Apni Palkon Ko Dabo Kr Hum
Sunehray Khawb Buntay Hain
Phir Unhi Khawbon Mein Jeetay Hain
Unhi Khawbon Pe Martay Hain
Dareeda Rooh Ko Lafzon Se Seena Gou Nahee Mumkin
Magar Phir Bhi…
December Ab Ke Aao Tou
Tum Us Shehar-e-Tamanna Ki Khabar Lana !!

No comments:

Post a Comment