Chupkay CHUPKAY JAL JATTE Hain log muhabbat kerne walay
Purwa sang nikal jatte hain log muhabbat kerne walay
Aankhon aankhon chal perte hain taaron ki qandeel liye
Chaand k saath hi dhal jatte hain log muhabbat kerne walay
Dil mein phool khilla dete hain log muhabbat kerne walay
Aag mein raag jaga dete hain log muhabbat kerne walay
Pani beech batasha surat kudh tu ghultay rehte hain
Nim ko shehad bana dete hain log muhabbat kerne walay
Khawab khushi k boo jatte hain log muhabbat kerne walay
Zakham dillon k dho jatte hain log muhabbat kerne walay
Titli Titli lehrate hain pholon ki umeed liye
Ek din khushbo ho jatte hain log muhabbat kerne walay
Ban jatte hain naqsh wafa ka log muhabbat kerne walay
Jhonka hain be_chain hawa ka log muhabbat kerne walay
Jalli hoi dherti pe jesse badal ghir ker aayin
Basti per hain Fazal KHUDA ka log muhabbat kerne walay
No comments:
Post a Comment